How To Create YouTube Channel Art In Hindi To Mobile Phone

Humlog is article me YouTube ke channel art yaani ki YouTube ke banner ko kaise banaate hai? Yahi hamlog aaj is article me sikhane waale hai.

 Hello Dosto

Appka phir se swagat hai hamare is new article me. Humlog is article me YouTube ke channel art yaani ki YouTube ke banner ko kaise banaate hai? Yahi hamlog aaj is article me sikhane waale hai. Aur Hamlog YouTube ka banner yani YouTube ke channel art ko professional bhi create karenge.

YouTube banner ya YouTube Channel art


Lekin YouTube banner banane se phale hamlog ko kuchh baate isase sambadhit janana jaruri hota hai. Isiliye mai aapko YouTube banner banaana sikhau usase pahale kuchh baate batana chahunga:

1. What is YouTube banner? ( YouTube Banner ya YouTube Channel Art Kya Hai?)

To aapko isko samajhane ke liye aapke pass ek Mobile phone ya PC hona chahiye practicaly. Aap apne mobile phone ya PC me Youtube app ko open kariyega, Aur wanha pe kisi bhi youtube channel ka name search kariyega ( jaise ki mai apna hi youtube channel search karta hu BDK Singh Ji, ok ) aur us channel ke home page par yani ki us YouTube channel ke logo pe jaise hi click kariyega to aapko us YouTube channel ka home page khulega, aur wanha pe aako ek banner ke jaise Photo dikhai dega ( jaisa ki niche diye gaye photo me dikhaya gaya hai ) usi ko humlog YouTube ka banner ya YouTube ka channel art kahte hai.

YouTube Banner ya YouTube Channel Art


2. YouTube banner ya YouTube Channel art use kyu karte hai? ( Why to use YouTube banner Or YouTube channel art? )

To hamlog manually isko isliye use karte hai kyu ki iske madad se jo bhi hamare channel pe visit karta hai usko pata chal sake ki yah channel kis category ka hai, aur dusara iska region isaka yah bhi hai ki  isase hamare channel dhikhane me professional aur cool bhi lagata hai, jisase hamra channel thoda attractive lagata hai.

Ab hamlog YouTube banner ya YouTube Channel Art banana sikhenge. Iske liye aapko niche di gayi jankaariyon ko dhyan se padhana hai, Aur use karna hai. To chaliye suru karte hai :-

How To Make Yo YouTube banner or Channel art

1. Apko YouTube banner ya YouTube Channel art banane ke liye aapke pass ek achchha photo editor app hona chahiye, jaise ki mai yanha pe use karunga Pixell Lab app ko. yadi appke pass yah Pixell Lab app nahi hai to aapko play store se download kar lena hai. yah app bilkul free hai.

2. Apko YouTube banner ya YouTube Channel art banane ke liye YouTube banner ya YouTube Channel art ka template ki jarurat padegi, jo ki aap is templete ko bilkul free me Download kar sakate hai, Aapko is templete ka download link sabase niche mil jayega, aap wanha se is Tamplate ko bilkul free me Download kar lena hai jo ki image format me hoga.

3. Ab aapko is template ko Pixell Lab me open karna hai. Aapko ise pixell lab me open karne ke liye aapko share button pe click karna hoga aur wanha pe pixell lab ka option aayega. Pixell lab pe click karke ise open kar lena hai.

4. Ab aapko isme apne photo ko import karna hoga. aapko isme photo ko import karne ke liye niche diye gaye photo ko dekhakar app ise import kar le. niche diye gaye photo me step by step bataya gaya hai, jisase aapko YouTube banner ya Youtube Channel Art banane me help hogi.

YouTube Banner ya YouTube Channel Art

YouTube Banner ya YouTube Channel Art


5. Ab aapko apne photo ko crop karna hai. jab aap apne photo ko import karenge to aapke paas ek option khul kar aayega, jisme aapko kai sare photo size choose karne ka option rahega, jisme aapko circle wala size ko choose karna hoga phir aapko sahi ke nishaan pe click karke ise puri tarah se import kar lena hai. Jaisa ki niche photo me dhikhaya gaya hai.

YouTube Banner ya YouTube Channel Art


6. Ab aapko apne photo ko template ke center me set kana hai, jo ki template ke center me sabse chhota circle hai uske ander set karna hai. jaisa ki niche photo me dikhaya gaya hai.

YouTube Banner ya YouTube Channel Art


7. Ab aapko apna channel ka name likhana hai. ise likhane ke liye aapko text ke option pe click karna hai aur waha pe aapko apne channel ka name likhana hai aur ok pe click kar dena hai.

YouTube Banner ya YouTube Channel Art


8. Ab aapko apna channel neme ko set karna kai. apko channel name set karne ke liye aapke image ke left side jo line ki jaisa dabba hai uske andar set kar dena hai. jaisa ki niche photo me dikhaya gaya hai. ab aapka YouTube banner ya Youtube Channel Art 99% banakar ready ho gaya hai.

YouTube Banner ya YouTube Channel Art


9. Ab aapko apna social username ko dalna hai. iske liye aapko phir se text ke option pe click karna hai aur wanha pe apna social user name ya aapko jo bhi likhana hai jaise ki "Follow me" aur ok pe click kar dena hai. aur phir aapko ise social icon ke niche set kar dena hai.

YouTube Banner ya YouTube Channel Art


Ab aapka YouTube banner ya YouTube Channel art banakar ready ho chuka hai.

10. Ab Apko YouTube banner ya YouTube Channel art ko save karna hoga. save karne ke liye, save ke option pe click karke ise save kar dena hai. aur aapka puri tarah se YouTube banner ya YouTube Channel art banakar ready hohaya.

YouTube Banner ya YouTube Channel Art


Ab aap is YouTube banner ya YouTube Channel art ko apne YouTube channel pe upload kar sakate hai.

Agar aapko is tarah ka aur bhi post chahiye to aap is wabsite ko follow kar sakte hai.

Template download karane ke liye niche click kare

Download File

To chaliye phir mulkaat hogi ek aur interesting topic ke saath, Tabtak ke liye aapse albida late hai. 


Thank You.

Team - BDK Singh Ji

I am Ashutosh Singh, Director of this website BDK Singh Ji. I am a student studying software programmer in MCA And I am 19 years old. I live in Aurangabad city of India Bihar, I started blogging sinc…

1 comment

  1. super
© BDK Singh Ji. All rights reserved. Premium By Raushan Design